.

.

Tuesday 25 August 2015

JO BEET GAYI SO BAAT GYI

 “The truth is, unless you let go, unless you forgive yourself,
unless you forgive the situation, unless you realize that the situation is over, you cannot move forward.”
For those who believe life has come to an end..there is nothing to do with it..Here is a short poem by Harivansh Rai Bachchan that makes u feel alive-

Jo beet gayi so baat gayi

Jeevan mein ek sitara tha
Maana woh behad pyara tha
woh doob gaya to doob gaya
Ambar ke aanan ko dekho
Kitne iske tare toote
Kitne iske pyare choote
Par bolo toote taron par
Kab ambar shok manata hai

Jo beet gayi so baat gayi

Jeewan mein tha who ek kusum
The us pe nitya nichawar tum
Who sookh gaya to sookh gaya
Madhuwan ki chaati ko dekho
Sookhi kitni iski kaliyan
Jo murjhai phir kahan khili
Par bolo sookhe phoolon pe
Kab madhuvan shok manata hai

Jo beet gayi so baat gayi

Jeewan mein madhu ka pyala tha
Tumne tan man de daala tha
Woh toot gaya to toot gaya
Madiralay ka aangan dekho
Kitne pyaale hil jaate hain
Gir mitti mein mil jate hain
Jo girte hain kab uthte hain
Par bolo toote pyalon mein kab madiralay pachtata hai

Jo beet gayi so baat gayi

Mridu mitti ke hain bane huye
Madhu ghat phoota hi kartein hain
Laghu jeewan leke aaye hain
Pyale toota hi karte hain
Phir bhi madiralay ke andar
Madhu ke ghat madhu ke pyale hain
Jo madakta ke mare hain
Who madhu loota hi karte hain
Who kachcha peene wala hai
Jiski mamta ghat pyalon par
Jo sachche madhu se jala hua
Kab rota hai chillata hai

Jo beet gayi so baat gayi

--  Harivansh Rai Bachchan

1 comments:

Gurjiven said...

nice lines

Post a Comment

Twitter Facebook Google+